A2 Hosting company aur Bluehost hosting India me best web hosting me se ek mani jati hai. Internet me hazaro aisi website hai jo web hosting provide karati hai lekin bahut kam hi aisi web hosting company hoti hai jo achche features ke sath sath 24×7 ka support deti ho.
Internet par maine bahut search kiya lekin A2 hosting aur bluehost hosting me Shared hosting jaisi service mujhe aur kahi dekhne ko nahi mili kyuki maine inke reviews ke sath sath inki web speed bhi dekhi jisme mujhe ye dono web hosting best lagi.

In this Post, aaj mai bataunga A2 hosting ke bare me, A2 hosting kaise kharide aur sath hi sath a2 hosting review in hindi me karke bataunga ki aakhir india me yah web hosting kyu best hai
Table of Content
A2 Hosting Review in Hindi
Bahut se blogger A2 hosting review ko hindi me padhna chahte hai, samjhna chahte hai, isliye maine is article ko A2 hosting review in hindi me likha.
Hosting kharidne se pahle hum A2 hosting ke bare me aur inke review ko achche se samajh lete hai uske baad baat karenge hosting kharidane ki.
A2 hosting pichle 17 years se maujud hai aur present time par other shared hosting ke comparison me sabse fast hosting maani jati hai.
Last 2 years se inki speed thori si down hui hai iske bawjood yah other shared hosting se best hai aur iska Turbo plan jo ki 20x faster hone ka daawa karti hai.
Also Read:
A2 Hosting Speed test and Overview
Isse pahle ki aap A2 hosting kaise kharide ke bare me jaane usse pahle mai aapko A2 hosting ki speed and iska pura overview dikhata hu jise aap achchi tarah se samjah sake.
A2 Hosting Overview | Features |
---|---|
Fastest Speed: | 246 MS (Updated November 2020) |
Supports | 24×7 Live Chat |
UPTIME | 99.99 Commitment |
APPS | WordPress, Drupal & Joomla Optimized |
Hosting Plan | Shared, Reseller, VPS, Dedicated |
Features | Any Time Money Back, SSL, Unlimited SSD & Transfer, Auto backups, Free Migration (Only One Website) |
Starting Plan | $3.92 USD (Renew $7.99) |
Payment | Credit Card, Paypal, Debit Card also Accepted |
A2 hosting overview
A2 Hosting Kharidne ke Pros & Cons
Ab hum discussion karenge A2 hosting ke pros and cons ke bare me, kyunki kisi bhi hosting ko buy karne se pahle us hosting ke pros and cons ke bare me achchi tarah se jaankari le leni chahiye.
Agar A2 hosting ko is saal best web hosting 2020 ki list me shamil kiya jaye to yah kahi se bhi galat na hoga.
Inki Speed aur optimization other hosting se bahut jyada behtar hai, kyuki inka aim hi speed hai, jaisa ki inka moto hai “Our Speed. Your Success” well optimized, user interface aur customer support bhi friendly hai.
To chaliye ab aapko inke pros and cons ke bare me jaan lete hai.
Yah bhi padhe:
A2 Hosting Kharidane ke Pros (Advantage)
Yaha par mai un points ko include karunga jinhe aapke liye janna jaruri hai.
1. Free Migration (1 to 25 Website)
A2 hosting me sabse khaas baat yahi hai ki ye aapki website ko free me migrate karti hai. Apni website ko migrate karwane ke liye aapko ek form fill karke submit karna hota hai jo ki Capnel me maujud rahta hai.
Kuch other hosting provider website migrate karne ke liye charge bhi lete hai lekin kya aapko pata hai kuch hosting company ek website migrate karne ka 140$ tak charge karti hai.
Agar aap shared hosting me kisi bhi plan Lite, Swift ya Turbo 20x booster ko purchase karte hai to company free me website migrate karti hai.
Wahi Reseller, VPS, Dedicated server lene par company 25 website ko free me migrate karti hai. Jyada Jaankari ke liye Terms & Condition padh sakte hai.
2. Best Shared Hosting Speed in 2020 (257 ms)
Beete kuch saalo me hosting speed ke maamle me A2 ka user experience bahut badhiya gaya hai. Inke shared hosting ka “Drive Plan” & “Turbo Boost” sabse best hai.
Inka Turbo boost plan upto 20x faster ke saath aata hai agar aapke pas achchha budget hai aur apni website ki speed ko increase karna chahte hai to yah plan aapke liye best rahega.
Ab agar mai A2 vs Bluehost vs Hostgator hosting me speed ka comparison karu to aapke samne kuch is tarah result dekhne ko milenge.
Last 8 month A2 hosting Speed report with other hosting
Month | A2 hosting | Bluehost Hosting | Hostgator Hosting |
November 2020 | 246 ms | 636 ms | 663 ms |
October 2020 | 300 ms | 670 ms | 738 ms |
September 2020 | 335 ms | 698 ms | 837 ms |
August 2020 | 276 ms | 724 ms | 712 ms |
July 2020 | 279 ms | 685 ms | 731 ms |
June 2020 | 319 ms | 725 ms | 698 ms |
May 2020 | 257 ms | 701 ms | 773 ms |
April 2020 | 296 ms | 626 ms | 1190 ms |
March 2020 | 261 ms | 584 ms | 893 ms |
Compare Between other hosting server
Winner A2: Last 8 months me in teeno hosting ka comparison dekhe to A2 hosting ki speed sabse best hai. for more result Click here
3. Any Time Money Back Guarantee Ki Suvidha
A2 hosting other hosting provider ki tarah 30 days ke andar money back dene ki guarantee deta tha lekin kuch time ke baad inhone apni policy change kar di.
Present time me inhone 30 days ki limit ko hatakar any time money back dene ka waada kiya.
Agar aapko hosting pasand nahi aa rahi hai to aap kabhi bhi money back ke liye apply kar sakte hai company aapse koi qus nahi karegi.
Lekin kuch policy aur criteria bhi hai jinhe aapko dhayn me rakhna hoga aadhik jaankari ke liye aap inki Any time money back guarantee policy padh sakte hai
4. Automated Server Rewind Backups
A2 hosting free me per day backup dene ki facility deti hai jisse aapko yah benefit hoga ki aapko alag se extra plugins upload karne ki jarurat nahi padegi.
Yah aapke Cpanel me automatic backup bana deta hai, aapko manually backup lene ki jarurat nahi padti aur extra backup plugins ke istemal karne se bach bhi jayenge.
5. A2 optimized WordPress
Kisi bhi hosting ko purchase karne se pahle us hosting company ke CMS ke bare me pata hona chahiye kyuki jis web hosting ka CMS yani (Content Management Systems) achcha hoga, website builders aur developer tools friendly honge utna hi aapki website ke liye benefit hoga.
WordPress, Joomla, Magnato etc jaise software one click install system available hai jinhe aap one click me install kar sakte hai.
A2 hosting ke pas khud ka well optimized wordpress installed hai jisme minify Java Script, CSS, image compress, turbo booster, extra security jaise features include hai jo ki aapki website ko achchi tarah se optimize karke rakhta hai.
Is time meri website A2 hosting par hi hosted hai aur ise istemal karne se meri website ki speed bhi improve hai.
Also Read
- 90% log in 7 Google Search tricks ko nahi Jante
- Blog aur website ke liye Sitemap kaise banaye aur Submit kare ?
A2 Hosting Kharidane ke Cons (Disadvantage)
A2 hosting ke pros ko jaan lene ke baad ab inke Cons ke bare me baat karte hai, mujhe isme koi cons jyada najar nahi aaye lekin kuch points bata raha hu.
1. No Provide Free Domain
A2 Hosting free domain service provide nahi karta. Aapko alag se domain purchase karna padega.
Agar aap pahli baar hosting purchase karne ja rahe hai to aapko alag se domain lene ki jarurat padegi.
Mai yahan suggest karunga ki aap Bigrock se domain purchase kare kyuki yah godaddy se cheap price me mil jata hai.
2. Renewal Price is too Costly
Agar aap pahli baar A2 hosting se hosting purchase karne ja rhe hai to mai recommend karunga ki long term ke liye hosting purchase kare jitna jyada long term utna jyada benefit kyuki inka renewal price costly ho jata hai.
Agar aapke pas budget kam hai to aap 1 year ke liye bhi le sakte hai phir jab aapke website se earning hone lagegi tab renewal karane ke time wo price bhi chhota lagega so don’t worry be happy.
Is time abhi offer chal raha hai jisme 51% tak discount mil raha hai aap abhi A2 Hosting par click karke yah benefit le sakte hai.
Special Note for you: Sabhi logo ke pas budget nahi hota isliye mai aapki thori si help karunga aap is link se through purchase kare ya mujhe personal message contact us ke through kare humari taraf se aapko 10% refund extra provide karaya jayega jisse aapko hosting costly na lage.
Kya Hume A2 Hosting Kharidana Chahiye?
Ji Han Sure, Agar aap blogging me serious hai aur apne blog ya website ke liye achchi speed chahte hai, optimization ke sath sath customer support bhi friendly chahiye to aapke liye A2 hosting best hai
Free Migration Service, free SSL (Secure Socket Layer), 24×7 Customer support, Unlimited bandwidth ke sath Any time money-back guarantee bhi available hai jo ki aapke liye best option hai.
Aap kya sochte hai is hosting ke bare me hume comment section me bata sakte hai.
A2 hosting review padh lene ke baad agar aapne hosting buy karne ka decision le liya hai to next step aapke mind me aata hai ki A2 hosting kaise kharide.
A2 Hosting Kaise Kharide (How to buy A2 Hosting)
Bahut se aise new blogger hai jinhe hosting kharidane ki achchi knowledge nhi hoti jaise Shared hosting, VPS Hosting, WordPress Hosting, Dedictaed Hosting kaun si leni chaiye, kaun sa plan unke liye thik rahega, kaun sa sarver choose karna sahi hoga etc.
Step 1. Get Started
Sabse pahle A2 Hosting Website par jaye aur Get Started par click kar de.

Step No. 2: Choose Plan

Black Friday Offer
Grab Now 70% offer
- Lite Plan: A2 hosting ka Shared Plan me 1st number me aata hai Lite Plan jo ki 1 website ke liye hota hai 25 e-mail accounts, Free SSL, Free migration jaise features mil jate hai. Single website par work karna hai to ye plan best hai.
- Swift Plan (Recommended): Is plan me hume sab unlimited milta hai jaise Website, SSD Storage, E-mail accounts, free SSL, free automatic backups jo ki kewal $4.90 me mil jayega.
- Turbo Plan: Shared hosting ka most powerful plan hai isme unlimited ke asth turbo booster jo ki (up to 20X faster) hai.
[Update 2020] A2 Hosting Ke Plan ab change ho chuke hai, upar diye gaye plan ki jagah ab A2 shared hosting me 4 plan ke saath aate hai, jinki jankari aapko niche di ja rhi hai.
- Startup Plan
- Drive Plan
- Turbo Boost Plan
- Turbo Max Plan
Mai recommend karunga ki aap A2 shared hosting ka Drive Plan select kare kyuki is plan me sab unlimited hai aap jitni chahe utni website ek hi hosting par host kar sakte ho jo ki aapke liye bahut benefit rahega. Agar aap kewal ek hi website host karna chahte hai to aap startup plan bhi use kar sakte hai.
Turbo Boost & Turbo Max Plan bahut jyada costly hoga isliye aap ise ignore kare.
Jab aapki website me bahut adhik Traffic aane lage aur aapki website traffic handle na kar pa rhi ho tab aap Shared hosting ko chhorkar VPS ya Dedicated server me transfer kar lijiye.
Step No. 3: Choose a Domain

Plan select karne ke baad apna domain name fill karna hai, screenshot me bataye gaye option ko select kare aur domain name likh de (Agar aapke pas domain nhi hai to pahle bigrock se domain purchase kar le phir ye wala step kare)
Ab continue button par click kar de.
Step No. 4: Select Price and Server Location

Ab aapke samne kuch is tarah ka form ban ke aa jayega, Jiitna lamba plan select karenge utna hi sasta amount aapko pay karna hoga maine 12 month select kiya hai aap 24 month ya 36 month ke liye bhi apply kar sakte ho.
Server location ko dhayn me rakhna hai agar aapko kewal India se jyada traffic chahiye to Singapore (Asia/India) par select kare aur agar aap US se jyada traffic pana chahte hai to US server select kare.
Baki jitne option aapko dikhe sabhi par No click kar de, actually inki jyada jarurat hume nahi padti isliye checkout par click karke aage badhe.
Checkout karne se pahle ek baar thik se review jarur kar le uske baad aage badhe.
Step No. 5: Personal Information and Billing Address
- Personal Information: Isme aapko apna Name, E-mail aur mobile number fill karna hai
- Billing Address: Isme company name ke box me apni website ka name fill kare aur aur home address fill kar de.
- Additional Option: Agar aap ek businessman hai to aapko GSTIN fill kare otherwise ise chhor de.
- Account Security: Isme apna strong password use kare taki koi hack na kar sake.
- Payment: Ab aapka kaam kewal payment pay karne ka rahega jo ki aap Credit Card, Paypal aur Debit Card se bhi pay kar sakte hai.
Ab aapne A2 hosting purchase kar li hai jiska E-mail aapke mail me turant aa jayega jisme username, password, Nameserver etc ki jaankari mil jayegi.
Final Word
Jaisa ki maine abhi bataya tha kisi bhi hosting ko purchase karne se pahle us hosting ka review, support aur speed jarur dekhni chahiye. Aapne a2 hosting review ko samjha uske pros and cons ko bhi samjha.
Blog ka content jitna powerful maana jata hai utna hi important hai hosting. Isliye A2 hosting kharidana aapke liye achcha option hai.
I hope aapko A2 hosting kaise kharide | A2 hosting review in hindi post helpful lagi hogi, agar yah article pasand aaya ho to ise apne friends aur social sites me jarur share kare.