On Page SEO Kya He Aur Ise Optimize Karne Ke 10 Assan Tarike

On Page SEO Kya He: Agar aapka website ya blog site hai to aapko SEO kya hai iske bare mai thodi bahut jankari to jarur hogi. SEO (Search Engine Optimization) ka matlab apne blog ya websites ko search engine par sabse pehele show karne ke liye optimize karna. And ye optimization bhi 2 Type ke hote hai On Page SEO or OFF page SEO . Is post me ham On page SEO ke bare me baat karenge.

On page SEO Kya He: On Page seo me ham apne blog post ya Article likhte time jo bhi ham apne  article me implement karte hai jaise Title, Heading, Permalink, photo, Design etc . Optimize karna hi On Page Optimization kahlata hai. Agar aap apne post ko search engine par top me rakhna chahate ho then aapko  On Page SEO ko perfectly optimize karna hoga. Jisse aapka post search engine par top me show hoga. To chaliye jante  hai ki kaise On Page seo ko optimize karte hai. On page SEO Optimize Karne Ke 10 Easy Ways (1) post title: Post ka titel bahut hi important hota hai SEO ke liye. So when aap kisi post ka titel likh te ho then aap ko aapni titel par targeted keywords yani jis keywords se aap apni post par ranking chahate hai unn keywords ko title me add kare.

 Blog Post Ke Liye Badiya Title Kaise Select kare

Such as manlo aap ek post likh rahe ho Chocolate Cake Recipe bare me to aapka post ka title “Easy Chocolate Cake Recipe” or “Chocolate Cake Recipe for kids, hona chaiye. jisse agar koi search engine par chocolate cake Recipe search kare to aapka site sabse pehele show hoga. So aap  post ke title ke starting me keywords add kare .

Long Tail Keywords Kya Hai Puri Jankari Hindi Me High Quality Keyword Research Karne Ke 5 Best Tools

(2) Custom Permalink Ka Use Kare:

Custom permalink ka use kare apne post par. And permalink ko hamesha chota aur keyword ko sath me lekar banaye. Faltu dikhne wale URL jaise myhindinotes.com/p=12345 ko add mat kare. Aur URL ko jayda bada bhi mat rakhe jaise, myhindinotes.com/on-page-seo-se-apne-page-ko-optimize-kaise-kare. Aap aise URL ko permalink ki help se chota kare. And  myhindinotes.com/On-Page-seo-optimization rakhe. Agar aap aisa karenge to then Google hamesah aapki post ko jyada pasand karega aur value bhi dega. So hamesa apne URL me targeted keyword ko place karna chahiye . (3) Image Optimization:

Apne post me jab bhi aap post likhete hai to aap osme image jaror add karte honge to oss image ko bhi aap optimize kare.  Image optimisation me aap apne image ka rename kare. And wohi name de jo aapke target keyword hai.  Also ALT tag ka bhi use kare. Suppose aapka target keyword On page seo hai to aap apne ALT tag par is taraha likhe On page seo (4) Keyword Use Kare H2 Or H3 Par: Aap apne post  me H2 or H3 ko subheading dene ke liye use kare isse apke post more user friendly banati hai. And usme keyword rakhne se yah On page SEO optimization ko aur bhi strong banati hai. On page Seo Optimize Karne Ke 10 Easy Ways: (5) Internal Links Add Kare: Internal link ka matlab hai ki apne new content me old published post ka link bhi add kare. So that apki blog par aur time rukenge aapki site par issse aapki site ki Bounce rate bhi kam hogi.

Blogger Me Dusri Post Ki Link KaiseAdd Kare

(6) Post Ke Title Me Modifiers Add Kare: Apne post ke title ko aap attractive banane ke liye modifiers jeise, Top, Best Famous” ko use kare. Jise agar aap mobile apps ke bare me koi article likho to aap uss ke title ke starting me Top-10 mobile apps ,Best mobail apps,ya famous mobile apps rakhe. (7) Post lamba likhe: SEO ka Adage hai “length is strength” matlab ki lambai me takat hai . So aap jitna lamba artical likh sako utni aapke post ke liye achi hoga. Aap jitna long post likhenge utni hi long tail keyword ko add kar sakenge. So hamesha kam se kam 1000 words ki ya use bhi jyada words ki post likhe.

Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya hai

(8)  Quality content post kare: Ye sabse important techniques hai aap jo post likh rahe hai usme share ki gayi information sahi honi chaiye. And also aap jo likh rahe hai usski puri jankari de. Matlab agar aap you tube ke bare me likh rahe hai to aap you tube se jodi sabhi jankari aap apne post me share kare. Isse aapka post bhi lamba hoga and aapki jankari bhi aapke visitor’s ko like karenge.

High Quality Content Likhne Ke 5 Easy ways

Bahut se bade bloggers ka manna hai ki agar aap quality content likhte ho. Then aapko SEO ke liye jada kuch karne ki bhi jarorat nahi padega visitor’s khod hi aapke site par aane lagenge. (9) Social Sharing Buttons Use kare: Agar aap apne blog par social sharing buttons add karenge then kisi visitor ko agar aapka post pasand aaye. Aur wo post ko share karna chahe to wo asani se share kar payenge. Jisse aapka site aur bhi popular hoga. And also new visitors aayenge aapke site par.

Social Media Sites Se Blog Ki traffic Badhane Ke Kuch Assan Tarike

(10)  Loading Speed Kam Kare: Agar aapka blogger me blog hai to aapki site google ke server me host hai. So aapko time speed ki utni problem to nahi hogi. But aap aapne post ke images ko optimize karke add kare. Aur hamesa kam size karke hi image ko upload kare. Isse aapka site ka loading speed bhi thik rahega.

Blog Ki Loading Speed Time Ko Kam Kaise Kare

Finally friends muje  Ummid hai Ki  ab aap On Page seo kya he aur ise Optimization ke bare me achhi tarah se samaj gaye honge. But fir bhi agar aapko kuch confiuse ho to niche comment box par comment  karke apna apna sawal puch sakte hai. Main jarur aapki comment ka reply dunga. Sath hi agar aapko on page Seo kya he aur ise optimize kaise karte hai ya jankari achi lage to aap ise apne dosto ke sath social site par share karna na bhule.  

Leave a Comment