Blog Ko Success Banane Ke Liye Regular Follow Kare In 7 Points ko: When koi blog banata he to wo jarur chahega ki uski blog success ho. Kya aap nahi jagate ki aapka blog success ho. Yani Aapki blog hamesa search engine ke top par ho. Har din bahut se visitors increse ho aapki blog par to aapko kaisa lagega ?
Aur aap bilkul aisa hi chahate honge ki aapki blog success ho. Aur Sath hi aap ek achi income bhi kar sako apne blog se. To friend jaise ki aap sabhi jante hi honge ki Blog Banana aajkal koI badi baat nahi he. But apne blog ko success banana bahut hi badi baat he. Aur blog ko success banane ke liye aapko bahut se rules ko bhi regular follow karna hoga.

Aur In This Post main aapko Blog ko success banane ke liye 7 points bata raha hu. Aap in sabhi points ko achi taraha se padhe aur samje. Aur Aap bhi har din in points ko follow kare. I sure ki aapki blog jarur success hogi. To aaiye ab jante he Blog Ko Success Banane ke liye Koinsi 7 points ko regullar Follow kiya jata he.
Also Read: Affiliate Marketing Kya He. Or isse Income Kaise Karte He
Blog Ko Success Banane Ke Liye Regular Follow Kare In 7 points ko
(1) Blog Design: Aap apne Blog ko jitni achi taraha se design karoge. visitors aapke blog ko utni hi pasand karenge. But achi taraha ka matlab ye bhi nahi ki aap apne blog par bahut se popup widget Aur ads use kare. Bahut se bade bloggers ka kehena he ki aap blog ki design jitni simple karoge. utna hi aapke blog ke liye acha hoga. Because 99 % visitors ko simple dikhne wala blog pasand he. So aap apne blog ki design simple rakhe.
Also Read: New Bloggers Google Adsense ke Liye Kab Apply Kare
Maine apne ek post par blog ko simple design kaise kare is bare me bataya tha. Agar aap apne blog ki simple disign karna chahe to aapko is post ko jarur dekhni chaiye. Blog ko Simple design kaise kare.
(2) SEO: Jyadatar new bloggers Seo ko ingnore karte he. Jo ki bahut badi lagti he. Because Jab tak ek blogger seo ke bare me achi taraha study karke seo ko apne blog par use nahi karta tab tak kisi bhi blogger ka blog success nahi ho sakta. Maine apni site par seo ke related bahut se article share ki he. Jinhe aapko jarur padhni chaiye.
Blog Ko Success Banane Ke Liye Regular Follow Kare In 7 points ko
(3) Daily Post Share Kare: Blog banane ke baad blog me visitors badhane ke liye. daily post share karna bahut hi jaruri hoti he. Because Agar aapke blog par kam post honge. To visitors bhi kam hi honge. Jaise manlo aapke blog par 20 -25 post hi he to utne post ke liye visitor bhi jyada hahi honge. Isliye aapke blog par daily post share kare. Aur apke blog ke old post yani jo post aapne likha 1yr ya 6 month hogaye. Aap us post ko bhi update karte rahe.
Also Read: Filpkart Affiliate program Se paise Kaise Kamaye
(4) Post Ka Title: Blog ko success banane ke liye post ka title ka bhi bahut hi bada rool hota he. Isliye Blog post ka title New uniqe hone ke sath badiya keyword wala bhi hona chaiye. Blog post ke title ke bare me jyada janne ke liye is post ko read kare
(5) Keywords: Keyword Kya He ye to aap jante hi honge. Blog ko success banane ke liye Aapko keywords ke bare me bhi achi jankari honi chaiye. Because Kewords ko agar aap thik se apne blog par use nahi karenge to aapke post search engine par dikhenge hi nahi.
So aap keyword ko blog post ke Title, Header, Images, Parmalinks or Slug par jarur add kare. Aur sath hi aap Keyword Density ka bhi dhyan rakhe. Because Keyword density bhi aapke blog post par sahi se use kiya hona chaiye. Keyword density ke bare me adhik janne ke liye Myhindinotes ka Keyword Density Kya He Or High Ranking e Liye Ise Kitni Percent Rakhe ye post padhe.
Blog Ko Success Banane Ke Liye Regular Follow Kare In 7 points ko
(6) Image: Blog ko success banane ke liye images ka bhi bahut bada rool hota he. 1 Image 1000 words ka kamm karta he. Ye baat to aapne suna hoga. Kya aapko nahi lagta ki ye baat sach he ?
Agar aap ko nahi lagta to aap bilkul galat he. Because manlo maine ek post likha he Aur uspar without image ke uspar likha he ki pehele aap ispar fir uspar click kare. to 100% visitors ko post ko samajne me parisani hogi. But agar maine uspar achi taraha se image ki madat se bataya he ki aap ispar fir uspar click kare to Visitors ko post samajne me bhi asani hogi.
Jisse visitors aapke blog ko pasand karne lagenge. Aur Search engine bhi aapke blog post ko index karne se pehele. Aapke blog ke image bhi chech karta he. So aap Apni har post par image jarur add kare.
Also Read: AdFly Se Paise Kaise Kamaye Puri Jankari Hindi Me
(7) Sharing: Blog post ko publish karne ke baad post ko share karna bhi bahut hi jaruri hota he. Because Share kiye bina aapka post logo tak nahi pohuchega. So aap Social site par daily visit kare. Aur apne har post ko Share kare. Jisse har din aapke blog par daily new visitors increse honge.
Finally friends blog ko success banane ke liye regular follow kare in 7 points ko ye jankari aapko kaisi lagi Comment box par jarur bataye. Sath hi aap is post ko apne friends ke sath Facebook aur Twitter par share karna mat bhule.