Blog Kaise Banaye – Complete Jankari Hindi Me

Kya aap blog banana chahate hai ? Aur Kya aap blogging start karna chahate hai ? To aap bilkul shahi post padh rahe hai. Because in this post main aapko Blog kaise banaye. Is bare me step by step bataonga. Jisse aap easily ek blog bana sakte ho aur blogging start kar sakte ho.

blog kaise banaye

Aur blog banane se pehle aapko kuch chizo ki jarurat hoti hai. Kya aapne wo shabhi thik kiya hai ? Agar nahi To bhi don’t worry is post par main aapko wo shabhi chizo ke bare me batonga. Jo aapko ek blog banane se pehele chaiye.

So agar aap seriously apni blog create karna chahate ho to aap is post ko carefully padhe. And ispar bataye shabhi points ko properly follow kare. I sure aap bahut hi easily ek badiya blog bana sakte ho.

But agar aap ek newbie ho to aapko pehele ye janna hoga ki Blog, Blogger aur Blogging kya hai. Tabhi aapko Blog banakar Blogging karne me assani hogi.

Table of Contents

Blog Kya Hai

Blog word ko weblog se liye liya gaya hai. Ise banane ke bahut se platforms hai. Jaise Blogger, WordPress, Joomla, Tumblr, Medium etc. Blog ko aap online diary ki taraha bhi use kar sakte hai. Blog ek aisi chiz hai jaha par aap online business start kar skte ho. Ya fir aap apni blog banakar online service bhi start kar sakte ho.

Blog par aap 2 taraha se likh sakte ho. Aur apne blog se paise bhi kama sakte hai. Aap blog banakar blogging ke jariye apni knowledge share kar sakte hai. And apni ek alag pehechan bana sakte ho internet par.

Blogger Kya Hai

Blog banane ke baad jo blog ko maintain karte hai use blogger keheta hai. Manlo aapne ek blog banai hai aur aap apne blog ko khod hi maintain karte hai to aap ek blogger hai.

Blogging Kya Hai

Blog par aap jo bhi activity karte karte hai wo hota hai Blogging. Jaise blog par post likhna, Blog ko menage karna, Comments ke replay karna, Ko blogging kehete hai. Blogger banne ke liye aapko blog ki jarurat hoti hai. But blogging karne ke liye aapko blog ki jarurat nahi hogi. Yani agar aap kisi ke liye paid content likhte hai to bhi aap blogging karte hai kehe sakte hai.

Blog Kuy Banaye

Blog banane ke bahut se karan ho sakte hai jaise, Blogging start karne ke liye, Ya koi online service start karne ke liye. Online Business karne ke liye aapko blog banana padhega. Jaise maine Blogging karne ke liye is blog ko banaya hai. Thik woise hi bahut se websites service provide karti hai.  Aur Google, Facebook jaise websites online business karne ke liye website or blog banate hai.

Blog Aur Website Me Difference Kya Hai

Blog aur website me bahut difference hota hai. But bahut se logo ko lagta hai ki blog aur website ek hi chiz hai. Jaise ki jab ham kisi website ki baat karte hai to hamare mind me facebook, Google, Twitter aati hai. Aur aise sites ko banane ke liye aapko Domain name, Hosting java, php, CSS, coding aur bahut paise lagenge, But ek blog banane ke liye aapko in sabki jarurat nahi. Blog aap free me bhi bana sakte ho.

Jaise manlo aapne ek E-commerce websites banayi hai to aapki site par aap apni product ko show karte hai. But aapki product ko internet par promote karne ke liye aapko ek blog ki jarurat hogi. Jispar aap blogging karke apni product ke bare me world ko bata sakte hai. Aur search engine par jab aap kuch bhi search karte ho to jadatar blog hi show hoti hai. So blogging aajkal bahut hi jyada popular hai.

Website Kaise Banaye

Jaise ki maine aapko upar bataya ki Ek badiya Website banane ke liye aapko coding ki jarurat hoti hai. But agar aapko coding nahi aati to aap kisi expert ko hire karke aur paise invest karke aap jaisa chaho website bana sakte ho. But agar aap free website banana chaho to bhi aap kuch platfrom ki madat se bana sakte ho.

Kuch Free website Banane Ke Plateform

  • Vix.com
  • Websitebuilder.com
  • Sitebuilder.com
  • Weebly.com

Blog Banane Ke Liye Kya Kya chaiye

Blog bhi aap Free aur Paird 2 taraha ke bana sakte ho. Aur Free blog banane ke liye aap Blogger plateform and Paid blog ke liye WordPress Select kare. Because e 2 bahut hi popular plateform hai blog banane ke liye.

Blogger Blog banane se pehele aapke pass agar kuch chize ho to aapko ek badiya new blog nanane me bahut hi easy hoga.  jaise,

• Gmail Id (G mail ID Kaise Banaye)
• Internet

Agar aapke pass ye 2 chize hai to aap badi asani se free blog bana sakte hai. Aur agar aapke pass pc hoga to badiya hoga. But agar nahi to bhi aap apni mobile se blog bana sakte ho.

And paid blog banane ke liye aapko Domain, Hosting, Template/Theme ki jarurat hoti hai . Jisme aapko Kuch paise Invest Karna hoga.

To Chaliye pehele jante hai ki Free blog kaise banaye fir uske baad ham Paid blog banane ke bare me jannenge.

Blog Kaise Banaye

Free Blog banane ke liye bahut se plateform hai. But  At First aap  Blogger.com par jaye fir ek page kholega Sign in to continue to blogger usme aapko apna gmail id dalna hai . Aur Continue ki button par click kare.

Log in hone ke baad ab next page par aapko apni profile select karna hai. Ispar aapko 2 option milenge aap Blogger Profile par click kare.

blog kaise banaye

Fir aap next page par apna name add kare ya fir aap jo name apne blog ke readers ko dikhana chahate hai wo name add kare. Aur fir continue ki button par click kare.

blog kaise banaye

Next aap Create New Blog Par click kare.

blog kaise banaye

Ab next page par aapko apni Blog ka Title Aur fir blog ki Address yani URL add kare. Fir last me Create Blog par click kare. Help ke liye niche ki screen short ko dekh sakte hai.

blog kaise banaye

Create Blog par click karne ke baad aapka blog ready . Ab aapka Free blog ban gaya hai. Ab agle screen par aap new post me click karke post likh k publish kar sakte hai

But Free blog ko bhi aap professional banane ke liye ek custom domain buy karke use apne blog par add kare. Blog ko design kare. Blog ko search engine par submit kare. Fir aap apni blog par blogging start kar sakte ho.

Paid Blog Kaise Banaye

Paid Blog banane ke liye aapko Domain aur Hosting bahut hi essential hai. Template agar aapke pass budget kam hai to aap free theme bhi use kar sakte ho. To chaliye pehele jante hai ki Domain name aur hosting kya hai.

Domain Name: Domain name aapki blog ki URL hoti hai. Jaise mere is blog ki URL hai Myhindinotes.com hai. Ispar maine .com extension buy kiya hai. So aapko paid blog ke liye ek extenssion .com, in, org extension buy karna hoga.

Bahut se company hai jaha par aap domain buy kar sakte ho jaise Godaddy, Bigrock Bluehost, etc.

Hosting: Free blog par aapko hosting ki jarurat nahi hoti hai. Because aap jis bhi platform par apna blog create karenge uspar aapki blog host hoti hai. Jaise agar aap blogger par blog banaenge to aapki blog google ki server par host hoti hai. But paid blog par aapko hosting buy karna padhta hai. Aur hosting par aapki blog ki post, pages, file, document host hoti hai.

Maine already WordPress par paid blog kaise banate hai is bare me step by step batayi hai. Agar aap Ek professional WordPress blog banana chaho to aap is site ki WordPress category ki post read kare. Jispar maine step by step WordPress par blog kaise banaye is bare me bataya hai.

  • 2018 Me Blog Ki Traffic Kaise Badhaye – 12 New Tips
  • Blog Se Paise Kaise Kamaye

Finally friends ab aap samaj gaye honge ki Blog kaise banaye. But bhir bhi agar aapko koi bhi parisani ho to aap nichee diye gaye comment box par puch sakte hai. Muje khoshi hogi new bloggers ki help karne me.

Sath hi agar aapko ye jankari achi aur helpful lage to ise apne doston ke sath social site par share karna mat bhule.

Leave a Comment