Blog Post Ko SEO Friendly Kaise Banaye: Aajkal blog banana bahut hi assan hai. But bohot se blogs ya websites he jinme traffic ya visitors nahi aate. And bloggers blogging chod dete hai Traffic ya visitors na aye to blogging ka kya faida . Agar aapke post ko reading ke liye koi visitor hi nahi to post likhna kyu? But kya aap jante hai ki blog par visitors lana bahut hi easy he. Is keliye aapko apne blog par seo ka istemal karna padega. And Seo friendly post likhna hoga ya apne post ko seo friendly banana hoga. Jisse visitors khod hi aapke site par aayenge.
So in this post main aapko kuch simple seo tips bataonga jinhe aap apne blog post par use karke bahut hi easily aapne blog post ko seo friendly bana sakte ho.
Blog Post Ko SEO Friendly Kaise Banaye:
Keywords Use kar Post par:
Keyword bahut hi important hota hai seo ranking ke liye. Search engine keyword par hi at first focous karta hai. So aapko post likhte samay post se relate populer keyword jarur use kare. Keywords ko select karne ke liye aap keyword planner ka use kar sakte hai. And apne keyword ko blog post ke Title tag, image ke ALT tag and sub Heading , H2, H3 par jaror add kare.
Also Read: Beginners guide 2017: New Blog Par Traffic kaise Badhaye
Images Add Kare Post Par:
Aap apne blog ke post me image jaroor add kare. Because aapke blog post ka image aapko google, bing se bhi achcha traffic aa sakta hai. Aap apne blog post me Image ko search engine me optimize karne ke liye apne Image me ALT Tag add kare. And ALT Tag me ek badhiya keyword ka use kare, jisse search engine se aapko badhiya traffic mil sakte hai.
Also Read: Facebook Se Blog Ki Traffic Kaise Badhaye
Use Custom Permalink :
Apne blog post par custom permalink ka use kare. isse search engine jaldi aapka post index karega. And search engine par jaldi show hoga. But custom permalink ko use karte waqt ye kuch baton ka dhyan rakhe.
● Keyword jaror add kare permalink me
● Premalink me 5o character se jyada add na kare .
Add Internal Links:
When aap koi new post likhte ho to aap apne new post par apni Dusri post ki link ko jaror add kare. Isse visitors ko bhi ek page se another page par jane ke liye assan hoga. And site ka Bounce Rate ko kam karne me bhi help milega. So apne har post par aap another post ka link (url) Add kare.
Use Labels :
Labels post ko bahut attractive banati hai and labels ki madat se aapke blog par menu bar ko bhi set kar sakte ho. Such as manlo agar aapke blog par 10 seo related artical hai. Then unn articles ko ek sath show karne ke liye labels bahut hi jarori hota hai . Isliye hamesha apne blog post par labels jaror add kare .
Blog Post Ko SEO Friendly Kaise Banaye:
Comments Section:
Aapko apne blog par commenting system ko enable karna hoga Because comments SEO frienly hoti hai. agar koi aapki post ki comment se related word bhi search engine me search karta hai to search engine aapki us post ko show karta hai. yani comment ek free way hai post ko or SEO friendly banane ke liye .
Request to Visitors:
post ke last me aapko jankari ya article kaisi lagi comment jaror kare, post ko share jaror kare, aisa kehe kar aap apne visitor’s se request kar sakte hai agar koi visitor aapki request accept karke agar aapke post ko share karte hai then aapko aur jyada visitors milenge aapke site ke liye.
Finally friends muje Ummid hai ki ab aap samaj gaye honge ki blog post ko SEO friendly kaise banaye . But agar aapka Koi bhi sawal ya kuch confiution ho to aap niche comment box par comment karke puch sakte he.
sath hi post halpful lage to ise aapne friends ke sath social site par share karna na bhule.