Google Search Engine Se kam Traffic Milne ke 4 Reasons: Har blogger ke blog par jyadatar visitors Google Search Engine se hi aate hai. So jiske Blog par search engine se jyada traffic milta hai. Wo blog site hi success hota hai.
But bahut se Blogger ka ye kehena hai ki blog par achi Article hone ke baad bhi Search engine se Blog par achi traffic nahi milti. Why ?
To agar aap search engine se apne Blog par traffic kam milne ki bajaha se parisan hai. Aur apne blog par achi article Publish karne ke baad bhi Traffic na milne ki reasons janna chahate ho. To is post ko aap puri taraha se read kare.
Also Read: Blog Ki Traffic Increase Na Hone Ki 7 Reason
Because in this post main aapko Google Search Engine Se kam Traffic Milne ke 4 Reasons ke bare me bataonga. Jinne aap thik karke blog par search engine ki traffic increase kar sakte ho.
Also Read: Blog Ko Google Aur Bing Ke Search Engine par Kaise Submit Kare
Google Search Engine Se kam Traffic Milne ke 4 Reasons:
Ye baat to sabhi blogger jante hai ki On page Or OFf Page seo ko properly optimize karke Blog par quality Content publish karne se Blog ki taffic increase hoti hai.
But agar ye karne ke baad Bhi aapko search engine se kam traffic milte he to iske kuch reasons hote hai.
#1) Over Copetition: Aaj kal har din bahut se new blog ban rahe he. Aur Bahut se logo ne blogging start ki hai. Jiss ki bajaha se aapko bahut hi badiya quwality post likhna hoga. Nahi to aapki post ko search engine par achi rank nahi milegi. Matlab ki agar aap Jitne Competitors… hai un sabse aapko Best article likhna hoga.
Then only aapki post search engin ke Top par show hoga. Aur aapko Search engine se Traffic bhi milegi. Blog post ko search engine ke top par show karana ke liye aapko badiya Keyword select karna hoga. Apne post ke liye.
Fir use correct place par placement karna hoga. Uske baad uspar achi taraha se seo optimize karne ke baad post ko achi taraha se 2 ya 3 Time check karne ke baad hi post ko publish kare.
Blog post ko search engine ke sabse upar kaise show karaye. Iski puri jankari ke liye aap is post ko padhe.
Blog Post Ko Search Engine Ke Top Par Kaise Laye
Google Search Engine Se kam Traffic Milne ke 4 Reasons:
#2) Tachnical problems: Agar aapki site ya site ke post Google par show nahi ho rahe he to iska reasons aapki site par kuch tecnicle issue ho sakta hai. So iske liye aap apne blog ki template ko check kare. Also aapke blog ke seo setting ko bhi achi taraha se check karle.
Because Agar aapke blog or Seo setting me problem hogi to aapki blog kabhi bhi search engine par nahi dikhenge.
Aur agar aapne apne apne blog par advance seo setting enable kiya hai. Then aap use bhi achi taraha se chek karle.
But agar aap wordPress use karte ho to aap apne them ko check kare. Aur apne sabhi plugin ko check karle. Because in chizo par agar koi bhi galat setting ki hai to aapke blog par search engine se Traffic nahi milegi.
Also Read: Blog Post Ko Google Search Engine Par Kaise Fast Index Kare
#3) Slow Loading: Agar ek E-Commerace site par agar 1Day kisi problem ki bajaha se Website down ho. To uss e-commerce site ko core me loss hota hai. Thik woise hi agar aapki site ki loading slow ho gayi to aapka bhi bahut loss hoga. So apne site ko hamesa fast loading banaye.
Blog ki loading speed achi na ho to Blog par visitors bhi kam honge. Aur sath me aapki Blog Ki Bounce Rate bhi jada hogi.
But Agar aap wordpress use karte hai to Aap niche ke is post ko padhkar apne blog ko Speed open hone wala bana sakte ho.
WordPress Blog Ko Speed Up Karne Ke Liye 7 Important Tips
#4) Internal Linking: Interlinking se bhi aapki post ko achi rank pane me help karta hai. Aur Google Bhi when aapke post ko check larta hai to aapke post par added links ko bhi check karta
So aap apni har post par interlinking kare. Jisse aapke post ko achi rank milegi. But Links add karne ka matlab ye bhi nahi ki aap unrelated post ko links par add mat kare. Because ise aapko post ko rank nahi milegi. Aur aapki post bhi search engine ke top par bhi nahi aayega.
Also Read: Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Par Kaise Submit Kare
Final Words:
Ye the blog par search engine se traffic na milne ke main reasons In sabke alawa bhi blog ki design, sitemap , Aur aapki Writing Skill bhi agar aachi na ho to bhi aapko Search Engine se Traffic Nahi Milegi. But upar jo maine bataya hai ye sabhi main points hai. Aapko apne blog ki traffic Increase karne ke liye ya Search engine se trafiic lane ke liye ye sabhi chizo ko Check karna chaiye.
Aur agar aapki setting par koi bhi mistakes he to aap Is site par check karke apni sabhi settings ko ok banaye. Aur agar kisi bhi chiz par aapko problem ho to aap niche comment box box muj se puche main jarur aapki madat karonga.
Also agar aapko Google Search Engine Se kam Traffic Milne ke 4 Reasons Ye article achi aur helpful lagi to please aap ise apne doston ke sath share karna mat bhule.