Ek online business ya job shuru karne ke liye laptop zaruri hai. Agar aap ke paas new laptop buy karne ka budget nahi hai. To aap zaruri kisi acche second hand laptop ko kharidne ke bare me sochte honge. Dosto ek baat hamesha yaad rakhiye purani chiz purani hoti hai. Aur nayi chiz nayi hoti hai. Fir bhi agar aap ka budget tight hai. To aise me used Laptop buy karne ke alava aap ke paas dusra option nahi rahta hai.
Aise me kai old laptop buyer puri jaankari naa hone ke karan loss kar baithte hai. Jab ek insaan apna purana laptop sell karta hai to usme choti badi problems hona aam baat hai. Lekin kai baar old product kharidne par faulty product ham kharid baithte hai. Aur aisa kaam karne ke baad seller koi javab nahi deta hai. Jis karan buyer ke paise doob jaate hai. Ham chaahte hai ki aap is blog post ko acche se dhyaan de kar padhe taki aap jab second hand laptop buy karne jaaye to usme kuch basic quality chack kar ke hi use kharide. To bina deri ke aaiye shuru karte hai.
Top 15 Tips before buying second hand laptop
Table of Content
- 1 1. Laptop me kaam kya karna hai?
- 2 2. Laptop ki Market Value
- 3 3. Second hand laptop Observation
- 4 4. Keyboard Track pad condition
- 5 5. Second hand laptop Battery Issue
- 6 6. CD / DVD Drive condition dekho
- 7 7. Bluetooth & WiFi checking
- 8 8. Second hand laptop pots condition dekho
- 9 9. Speakers & Web Cam ki jaanch
- 10 10. O/S & Software License ki jaanch
- 11 11. Market Survey kare
1. Laptop me kaam kya karna hai?
Jab aap kisi jagah ek used second hand laptop karidne jaaye. Uske pahle apne aap se ek zaruri savaal puche. Ki aap ko laptop kharid kar us par kaam kya karna hai. Aisa ham is liye bol rahe hain kyu ko laptop device alag alag configuration ke hisaab se mehanga sasta hota hai.
Jab aap gaming, editing, vagera kaam ke liye laptop kharidte hai to aap ko graphics high chahiye. RAM badhiya chahiye. Agar aap ko bade bade files manage karne hai. To aise me aap ko adhik internel storage aur badi High Transmitting RAM or processor ki zarurat hogi.
Friends aaj ke time me 1 yaa 2 GB RAM vale laptop waste hai. Agar aap ko basic Standard process vala Laptop kharidna hai. To aap minimum 4GB ram aur 500 GB hard disk ka option hi chune. Is ke sath agar 1 GB graphics card mil jata hai to vah second hand laptop kharidne layak hota hai.
2. Laptop ki Market Value
Ek baat dhyaan se samjiye. Jo chiz purani hai. Uski kimat aage jaa kar aur kam hogi. Yah baat electronic gadgets par khaas laagu hoti hai. Upar se din par din naye saste aur jyada suvida vale gadgets bazaar me aate rahte hai. Aise men kabhi bhi second hand laptop ki zyada kimat ada naa kare.
Purana laptop jab bhi aap kharide to use 2 se 4 baar restart kar ke dekhte. File download kar ke dekhe. Keys ko speed se aur slow press kar ke dekhe. Battery ko remove aur insert kar ke bhi dekhe. Is tarah ke basic check up se laptop ka bada fault samne aa jata hai.
3. Second hand laptop Observation
Purana laptop agar kahi se screch hai. Yaa fir use band hone me aavaz aati hai. Yaa fir khulte vakt body crack sound karti hai. To aise product ko kabhi bhi kharidna nahi chahiy.
Kai baar aisa hota hai jab ham laptop kharid ke ghar laa lete hai. Uske baad hame kahi se serew missing dikhta hai. Yaa screen par ya bodypar crack nazar aate hai. Aisa aap ke sath naa ho is liye lappy buy karne se pahle hi use acchi tarah se dekh le.
4. Keyboard Track pad condition
Jab aap purana leptop lete hai. To use kai baar ruff use kiya jata hai. Ham bhi kabhi kabhi gusse me koi chiz patak dete hai. Thik vaise hi aap jis laptop ko kharid rahe hai uske sath bhi hua hota hai.
To aise me aap ko ye dekhna hai ki keyboard ki sabhi keys proper work de rahi hai. Agar touch pad vala laptop hai to usa touch sahi se kaam kar raha hai. Is process ko karib 15 minute se 30 minute tak karte rahe. Taki fault hai to pata chal sake.
5. Second hand laptop Battery Issue
10 me se 7 used computer me battery issue hota hai. Is fault ke karan yaa to charging dhima ho pata hai. Yaa fir charging jaldi khali ho jata hai. Friends yah point khaas dhyaan me lijiye. Agar laptop ki battery sahi nahi hai to us laptop ko galti se bhi naa karide.
Aur gar faulty battery vala second hand laptop karidna hi hai to seller se new battery badal ke dene ki maang kare, yaa fir nayi battery ke paise alag se kam kara kar aap khud nayi battery use kare. Agar aap aisa nahi karte hai to power consumption itna zyada hoga ki aap ka bijli kaa bill hi badh jaayega.
6. CD / DVD Drive condition dekho
Laptop me jab antivirus dalna hota hai. Disc se movie dekhna hota hai. Yaa fir kisi friend se dvd maang kar movie dekhna hai. Aise sabhi kaam aap CD / DVD Drive ki madad se kar sakte hai.
Aise me agar laptop ka yah purza sahi nahi hoga to aap ye kaam thik se kar nahi payenge. Is liye hamesha jab aap purana laptop lene jaye to ek DVD sath le kar jaye. Taki aap CD / DVD drive ki condition check kar sake.
7. Bluetooth & WiFi checking
Dosto ab wire free data transfer ka jamana hai. Internet bhi mobile ke through wifi se chalana easy rahta hai. Data transfer ke liye Bluetooth kafi zaruri hai. Aise me agar ye dono purze sahi kaam nahi karte hai to badi dikkat hoti hai.
Is liye jab bhi aap second hand laptop kharde to sab se pahle usme internet connect kar ke dekhe, wire se, uske baad wifi ki sahayta se net connect kare. Or Bluetooth se data transfer kar ke bhi check kare.
8. Second hand laptop pots condition dekho
Kisi bhi laptop me Ear phone pot, mice pot, aur do se char USB slot hote hai. Ab agar aap laptop lete samay in sabhi pots ko manually check nahi karte hai. To ho sakta hai unme se koi ek slot kaam hi naa kar raha ho.
Is liye aap ko CD/DVD player, HDMI pot, SD card slot, Headphone slot, etc chize ek ek kar ke baari baari use kar leni chahiye. Taki jab price negotiation karne ki baari aaye tab aap in sabhi parts ki working condition ke hisaab se price kam karva sake.
9. Speakers & Web Cam ki jaanch
Waise to webcam ka use kam hi ho pata hai. Lekin kya pata kabhi aap ko kisi dur baithe vyakti se online facecam chat karni pad jaaye. Kya pata aap ko online kahi webcam ke through interview dena pad jaye. Yaa kisi friend ke sasth sochal media par online video chat karne ka man kare.
Aise me aap ko second hand laptop lene se pahle speakars aur webcan ko chala kar dekh lena chahiye.
Taki agar usme fault hua to aap laptop buy naa kare. Iske alava agar aap music sunne ke shaukin hai to bhi aap ko speakers sahi condition me chahiye honge.
10. O/S & Software License ki jaanch
Laptop ek machine hai. Ise chalaane ke liye usme tarah tarah ke purze yaani hardware lage hote hai. Unhe command dene ke liye ek operating system ki zarurat hoti hai. Jisme ek software padta hai. Ab jo ye software hota hai woh license vala hota hai.
Yaani agar client ne bina licence ka software dala haito who aage chal kar musibat me bhi pad salta hai. Isi liye jab aap koi old laptop kharide to usme dale hue window software aur dusre anya application ki details avashya jaan lijiye. Taki aap kisi legal pachde me naa fase.
11. Market Survey kare
Used laptop kharidne se pahle ek baar market jaan lijiye. Kya pata aap jis configuration vala laptop second hand me kharid rahe hai thik vaisa laptop thode se paise aur daal kar naya hi mil raha ho.
Jab bhi old laptop kharide to use kisi expert karigar se check kara kar hi buy kare. Purani chizo ki koi guaranty to nahi aati hai. Lekin fir bhi agar use acche se check kar ke liya jaaye to sauda fayde ka ho sakta hai.
Dosto old laptop lena hai to dukaandaar se kabhi naa kharide. Purana laptop sirf use karne vali party se khaide. Kyu ki jo shop owner hoga woh technician ke touch me hoga. Aur who dono mili bhagat kar ke aap ko ullu bhi bana sakte hai. Is liye normal first hand user ke paas se hi second hand laptop buy kare.
12. Second Hand Laptop Screen Check
Dosto agar laptop me screen damage hota hai. To aap ko sidha 3 se 5 hazaar ka fatka lagta hai. Is liye purana laptop kharidne jaa rahe hai. To screen ko acche se dekhe. Agar screen par halke lambe kale scratch hai. Screen ka kona kala yaa blue dikh raha hai. Yaa kisi bhi tarah se screen me koi gadbad lag rahi hai to us laptop ko kharidne ki galati bilkul naa kare. Screen kisi bhi laptop ka ek mahenga hissa hota hai. Uski condition badhiya naa hui to thikthak to honi hi chahiye.
Final words on Second hand Laptop
Bina bill box vala laptop muft me bhi naa kharide. Aisa karne se aap par case bhi ho sakta hai. Zyada purane model me paisa naa dale. Is prakar ke lappy me facilities kam hongi aur parts ghis chuke honge.
Halki brand ka laptop adhik paise me naa lijiye. Nayi brand vale hamesha kam daam me zyada facilities dene ke chakkar quality compromise kar dete hai. Jis karan aise laptop jaldi kharab hote hai. Aur user unhe second hand bech dete hai.
Is liye second-hand laptop kharide to branded laptop me hi paisa dale. Taki jab aap use fir se bechne bhi jaaye to kuch paisa to resale value aa hi jaye.
To dosto purane laptop ko kharidne se pahle dhyaan me lene vali jaankari darshata yah chota saa article aap ko kaisa laga ye comment box me zarur bataye. Aur agar post accha lage to hamara blog subscribe zarur kar lijiye. Dhanyavad