Mujhe apne blog ke liye kaun si best web hosting leni chahiye? Aisi kaun si hosting buy karu jisse mera blog rank kar jaye? in sabhi sawalo se aap confused ho rahe honge. Am i right?
Newbie blogger chahe jitni post padh le ya video dekh le lekin hosting ko buy karne se pahle wah 100 baar sochte hai aur cheap hosting ya free hosting ke jugad me lag jate hai aur blogging shuru karne se pahle hi wah sabse badi galti kar baithte hai aur blogging me fail ho jate hai.

Agar apne blog ya website ko ek badhiya speed dena chahte hai aur blogging ki duniya me apne online business ko apna carrier banana chahte hai to aapke pas self best Web hosting ka hona bahut jaruri hai,
Aur jab baat self-hosted ki aati hai to WordPress ka naam sabse pahle aata hai, kyunki pure World me 35%+ se jyada log WordPress par hi blog ya website banate hai.
WordPress Software puri tarah se Free hai lekin isko chalane ke liye Aapko Hosting lene ki Jarurat padti hai.
Simple word me batau to wordpress agar body hai to Hosting body ke andar ka blood. Web Hosting se WordPress ko Power milti hai aur world ke kisi bhi Search Engine me website open karne ko allow karti hai.
Table of Content
Web hosting Kitne type ki hoti hai?
Waise to Web hosting total 4 type ki hoti hai
- Shared Hosting
- VPS Hosting (Virtual Private Server)
- Cloud Hosting
- Dedicated Hosting
Mai recommend karunga Newbie blogger ko shared hosting leni chahiye because new website me huge traffic aane me time lagta hai aur ye aapke website ke traffic ko aasani se handle kar sakti hai.
A2 hosting Bluehost hosting ka shared hosting plan 2 lacs/month tak ka traffic handle kar sakta hai aur yah kewal Rs. 400 se Rs. 500 per monthly charge hota hai.
Best Web Hosting Kaha se Kharide?
Low budget me best web hosting mil jaye isse achchhi baat aur kya ho sakti hai lekin low budget aur cheap hosting ke chakkar me pad kar 80% log apne blog ka carrier usi waqt end kar dete hai, sach hai magar kadwa hai.
Mai aapko unhi web hosting ke bare me bataunga jo low budget me best features deti ho aur hosting ki speed bhi achchi ho.
Web hosting ko Purchase karne se pahle aapko hosting ke bare me achchhse se pata hona chahiye uske features unki speed, customer support etc.
Ek achchhi hosting hi aapke blog ka future decide karti hai aur blog ko successful banane me madad karti hai.
Top 5 Best web hosting [2020]
1. A2 Hosting
Just Buy and get 66% off Discount ‘Limited Time’
Shared Hosting ki category me A2 Hosting ko maine no. 1 position par rakha hua hai.
Iska Lite plan only Rs. 235/month hai jisme unlimited ssd storage, 25 e-mail accounts, anytime money back gurantee ki facility hai.
A2 hosting ka full review hindi me maine likha hua hai. Review padhne ke liye aap is post ko read kare.
Lite plan me aap single website hi use kar sakte ho isliye mai recommend karunga ki aap A2 hosting ka swift plan le. Swift plan me aap unlimited website bana sakte hai aur automatic backups bhi ban jata hai.
2. Bluehost
Best Hosting for beginner ‘Limited Time’
Second number par hai Bluehost, Bluehost hosting website ke liye most popular hosting provider company hai, WordPress.org website Bluehost hosting ko hi purchase karne ko recommend karta hai.
Inka Basic Plan Rs. 199/month se lekar Pro plan Rs. 859/month tak hai. Basic plan Hosting lene par SSL certificate, 1 Domain free, 25 Sub-domains bhi milta hai aur within 30 days ki money-back guarantee hai.
Mai recommend karunga ki aap inka choice plus plan select kare kyuki is plan me aap multiple website use kar sakte hai aur site backup bhi milta hai.
Recently time inka customer support service thori si down hui hai aur speed bhi thori si low hui hai but it’s all ok.
Hosting ke sath free domain lena chahte hai to bina doubt kiye bluehost hosting purchase kar sakte hai.
Bluehost ka review agar aap full details ke sath read karna chahte hai to neeche diye gye link par click karke read kar sakte hai
3. Siteground

Just buy and get 55% off ‘Limited Time Offer’
Siteground hosting best web hosting me se ek maani jati hai inka web server well optimized hota hai.
Inke sare plan me free SSL, Free CDN unlimited database include hai. Inka weak point hai inke price. Starting plan $3.95 se lekar Gogeek plan $11.95 tak hai.
Siteground hosting ka renewal price normal price se 3x jyada hai jo ki kisi bhi other hosting se kahi jyada hai lekin inki service bahut fast hai aur inka server itni jaldi down nahi hota.
Agar aapke pas achchha budget hai to aap ise purchase kar sakte hai and mai yah recommend karunga ki aap 2 year ke liye purchase kare jitna jyada long term ke liye plan lenge utna benefit aapko milega.
4. Hostgator
Hostgator hosting ko mai 4th position me rakhunga recently time me hostgator kafi popular hosting service provider ban gaya hai lekin kuch cons bhi shamil hai jaise speed, customer support service me kami dekhne ko mili hai.
Agar Aap Hostgator hosting ka review padhna chahte hai to hamne hostgator hosting review ke upar full detail di hui hai jisme hostgator hosting ke Pros aur Cons ke bare me bhi bataya hai sath hi hostgator se hosting kaise kharide ke complete step bataye gye hai.
[60%] Hostgator Se Hosting Kaise Kharide | Hostgator Hosting Review in Hindi
Hostgator hosting se aap Shared Hosting, VPS Hosting, Reseller Hosting, Cloud Hosting, WordPress Hosting, Dedicated Hosting purchase kar sakte hai. Kyuki aap Newbie Blogger hai to aap Isme se Linux Shared Hosting ka Baby Plan Select kare

Black Friday Offer Only 99/Mo. {Limited Time}
Aapko isme, Starter Plan se Business Plan tak ke offer milte hai aap apne budget ke anusar option chun sakte hai, waise yadi aap apne web hosting ke liye baby plan ya business plan use karenge to aapke blog ke liye behtar hoga.
Business Plan lene par aapko free SSL certificate bhi mil jata hai.
Agar koi samasya aati hai to aap Customer care ko call karke baat kar sakte hai wo bhi Hindi me. Hostgator hosting ko buy karne ke liye aap Debit card Or Paytm se bhi payment kar sakte hai
5. ResellerClub

Resellerclub web hosting company beete dino me kafi popular web hosting ho gyi hai, kyuki isme low budget me behtar features dekhne ko mil jate hai.
Agar aap inke hosting se santust nahi hai to 30 din ke andar money back bhi le sakte hai.
yah Global server ke sath India server ko bhi support karti hai, 1 click wordpress jaise tamam software install ho jayenge.
Low Budget me ek achchi hosting lene ka man hai to aap ise purchase kar sakte hai. Shared hosting, VPS hosting, Dedicated Hosting and Cloud hosting server bhi avaiable hai
My Recommendation: Agar long term blogging karne ka plan bana rahe hai to meri recommendation hai ki aap A2 Hosting ya Bluehost Hosting me se koi ek le.
Web Hosting Lene se Pahle Kuch Important Tips:
Apne blog ke liye best web wosting aapko kaha se buy karni hai ye to ab aapko samjh me aa hi gaya hoga. lekin Blog Hosting Kharidne se pahle mai aapko kuch important points batana chahunga.
Actually is points ka web hosting se koi connection nahi hai but guide
- Kisi bhi Hosting ko buy karne se pahle us hosting ki speed and support ke bare me achche se pata kar lena chahiye.
- Agar koi low budget hosting purchase karne ja rahe hai to suni sunayi baato par yakin na karke pahle achche se search kare unke review padhe.
- Jin hosting plan ke bare me maine bataya hai, aap khud unke review check kare, jisse aap analize kar sake ki kaun si hosting best rahegi.
- Market me bahut si aisi hosting available hai jo low rate me good hosting dene ka daava karti hai so aisi hosting ko lene se bache kyuki ye aapki mehnat ko waste hi karwati hai aur inka server humesha up- down rahega.
Final Word:
Newbie Blogger ke liye Shared Hosting ka plan hi behtar hota hai isliye trusted hosting provider se hosting purchase kare jaise A2 hosting, Bluehost Hosting Siteground Hosting etc.
Jab aapke blog me huge traffic aane lag jaye jisse aapki site baar-baar crashed hone lage tab aap shared hosting ko upgrade karke VPS ya dedicated server ko le sakte hai.
But starting me shared hosting lena best option hai, agar hosting se related koi problem ya suggestion to hume comment section me jarur bataye.
Ummid karta hun ki aapko Blog ke liye Best Web Hosting kaise aur kaha se kharide [2020] ki post pasand aayi hogi, kripya is post ko social media me share karna na bhule.